jaan main tere shabistan mein chala aaunga tujh mein guftar ki taqat bhi na rah jaegi tujh mein inkar ki jurat bhi na rah jaegi teri zulfon ki siyah raat mein so jaunga tere aariz ki mahakti hui khush-rang sharab pi ke main azm ke suraj ko bhi chamkaunga main zamane ki hikayat badal jaunga