hawa-e-bayaban ki sargoshiyan dhimi dhimi ki dekho sahar hai qarib hazaron alam-ha-e-jaan-kah ka khun-baha us ke aahang mein rang mein us ki shabnam se bedar har phulban ka nasib sahar hai qarib magar main ne dekha sahar ko bahut dur apni abad-gir lazzat mein gum gul-o-barg-o-ashjar se mawara zamanon ki raftar taron ke anwar se mawara bahut dur purab se lekin hawa-e-bayaban ki sargoshiyon se qarib hazaron alam-ha-e-jaan kah ka khun baha us ke aahang mein rang mein us ke lahje ki dildariyan hain ajib sahar hai qarib