ek saya sa jo sae ki tarah har pal mere sath rahta hai aur do khubsurat aankhen hamesha mera taaqub karti hain ek pur-kashish aawaz bulati hai mujh ko bar bar ek pyara sa wajud rahta hai mere aas-pas is anjaane se hisar mein har pal muqayyad hun main aisa lagta hai jaise main saz hun aur wo ek aawaz rishta ye hamara sadiyon purana aur sagar se bhi gahra hai