yas-khez subhon se be-sukun shamon se bhagne ki kawish ne kitni rahguzaron ke pech-o-kham ke jalwon se aashna karaya hai dar-ba-dar phiraya hai jaane kab ye hosh aaya subh-o-sham be-mani be-sukun-e-be-ummid phir to silsila nikla lamha-ha-e-kawish ka chain kho gaya din ka nind ud gai shab ki justuju ka ye chakkar khinch le gaya har pal jaane kis taraf lekin har qadam hua ehsas main gunah karta hun umr kyun ganwata hun kawishon ka kya hasil har qadam samete hain khar na-umidi ke ek din ka qissa hai chalte chalte pahuncha hun ek jagah jo viran thi kuchh darakht phaile the ja-ba-ja pareshan se ek darakht par gidh the intizar mein baithe aur maqbare the kuchh pur-sukun tha mahaul dil-pasand tha behad jaane kyun ye lagta tha apni subh shamon se apni be-sukuni se apni na-umidi se chhutne ka waqt aaya pai-ba-pai har ek lamha hosh ho rahe the gham aur dil ko lagta tha zist wahm ho jaise khwab ya ki afsana dafatan uthi ek chikh ruh tak tadap utthi chikh jaane kis ki hai hae ye to meri hai aur barq ki surat main wahan se palta hun is khamosh aalam se be-khudi ki duniya se jab palat ke dekha hai ruh muskuraati thi meri ruh-e-awara aur hasin lagti thi