surkh mandi hara tel pili khanak tin safhon ka akhbar hai zindagi ishtihaaraat ki bhid mein chandni apni pazeb ki jhunjhunahat pe roi hui raushni ek ek lafz-e-be-rang ki paikariyat chhuane pe mamur hai aks jitne bhi nang-e-basirat hain sab saf karke dikhane pe majbur hai kyon duhai na dun a shikast-e-nazar aasman lafz hai aur kuchh bhi nahin lafz khud ek alamat hai tafhim ki sharm-gahen chhupane ki adna si shai ke siwa aur kya nam dun aql ko aagahi khud-farebi kharabe ki jad jis ki buniyaad mafruza hai aur kuchh bhi nahin aur jab muddaton ki ulat-pher ke ba'd bhi chandni kuchh nahin raushni kuchh nahin aagahi kuchh nahin aag hi aag hai khun hi khun hai paintare mein yahi sab yahi danw hain dhup hai chhanw hai surkh mandi hara tel pili khanak zindagi zindagi zindagi kuchh nahin kuchh nahin tin safhon ka akhbar hai zindagi