ek din lalu rote aae aansuon se munh dhote aae abba ne aa kar chumkara kyon rote ho kis ne mara bhai jaan ne puchha aa kar aae mar kahan se kha kar dadi girti padti aain lathiya khat khat karti aain lalu ko jo rote dekha puchha beta kis ne mara aa ja meri god mein aa ja mera banna mera raja amman aain aapa aain roti aur mithai lain lalu ko godi mein uthaya pyar kiya chhati se lagaya aapa bolin chup ho jao roti aur mithai khao phir bhabi ne un ko bulaya git suna kar dil bahlaya nahla kar kapde pahnae achchhe achchhe khane khilae lalu hain in sab ke pyare hain wo sab ki aankh ke tare