sab kuchh hai apne des mein roTi nahin to kya

sab kuchh hai apne des mein roti nahin to kya
wada lapet lo jo langoti nahin to kya

aalim bade bade hain to leader gali gali
barish hai afsaron ki to daftar gali gali

shair adib aur sukhanwar gali gali
suqraat dar-ba-dar hain sikandar gali gali

sab kuchh hai apne des mein roti nahin to kya
wada lapet lo jo langoti nahin to kya

hakim hain aise desh ka qanun tod den
rishwat mile to qatl ke mujrim bhi chhod den

nigaran jo mulziman ki aankhen bhi phod den
surgeon hain aise pet mein auzar chhod den

sab kuchh hai apne des mein roti nahin to kya
wada lapet lo jo langoti nahin to kya

har qism ki jadid imarat hamare pas
har ek parda-dar-e-tijarat hamare pas

apnon ko lutne ki jasarat hamare pas
khelon mein haarne ki mahaarat hamare pas

sab kuchh hai apne des mein roti nahin to kya
wada lapet lo jo langoti nahin to kya

har kaam chal raha hai yahan par bayan se
sarkar ke sutun to rahte hain shan se

qarza to mil raha hai hamein har dukan se
khairaat aa rahi hai badi aan-ban se

sab kuchh hai apne des mein roti nahin to kya
wada lapet lo jo langoti nahin to kya

ye nur ka nahin to siyahi ka tur hai
har jhut har gunah ka hum ko shuur hai

duniya ke aur deson ko dhan par ghurur hai
fann-e-gadagari pe hamein bhi ubur hai

sab kuchh hai apne des mein roti nahin to kya
wada lapet lo jo langoti nahin to kya

janta se kah do shor machana fuzul hai
taklif ka bayan sunana fuzul hai

shahan-e-qaum ko to satana fuzul hai
sote hain sukh ki nind jagana fuzul hai

sab kuchh hai apne des mein roti nahin to kya
wada lapet lo jo langoti nahin to kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close