sulaiman sar-ba-zanu aur saba viran saba viran, saba aaseb ka maskan saba aalam ka ambar-e-be-payan! gayah o sabza o gul se jahan khali hawaen tishna-e-baran, tuyur is dasht ke minqar-e-zer-e-par tu surma war gulu insan sulaiman sar-ba-zanu aur saba viran! sulaiman sar-ba-zanu tursh-ru gham-gin, pareshan-mu jahan-giri, jahan-bani faqat tarrara-e-ahu mohabbat shola-e-paran hawas bu-e-gul be-bu za-raaz-e-dahr kam-tar-go! saba viran ke ab tak is zamin par hain kisi ayyar ke ghaarat-garon ke naqsh-e-pa baqi saba baqi, na mahru-e-saba baqi! sulaiman sar-ba-zanu ab kahan se qasid-e-farkhanda-pai aae? kahan se, kis subu se kasa-e-piri mein mai aae?
Please share if you liked this!!!