sach

wo kahta hai
wo sach bolta hai

aisa sach jo dil ko chir de
ruh mein shigaf dal de

wo sach hi to kahta hai
us ke sach bolne ki aadat se

kitne dil figar aur ruhen chhalni hoti hain
us ke sach ka zahr

roz wo nahin
main hi piti hun

us ke sach ka nishana
main hi banti hun

use apni haq-goi ka
koi inam sanad eazaz milna chahiye

so main ne apna chhalni dil
kanton ke haar mein piro kar

use pahna diya hai
zakhmon ka taj bana kar

us ke sar par saja diya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close