khauf-e-afat se kahan dil mein riya aaegi baat sachchi hai jo wo lab pe sada aaegi dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat meri mitti se bhi khushbu-e-wafa aaegi main utha lunga bade shauq se us ko sar par khidmat-e-qaum-o-watan mein jo bala aaegi samna sabr o shujaat se karunga main bhi khinch ke mujh tak jo kabhi tegh-e-jafa aaegi ghair zoam aur khudi se jo karega hamla meri imdad ko khud zat-e-khuda aaegi aatma hun main badal dalunga fauran chola kya bigadegi agar meri qaza aaegi khun roegi sama par mere marne pe shafaq gham manane ke liye kali ghata aaegi abr-e-tar ashk bahaega mere lashe par khak udane ke liye baad-e-saba aaegi zindagani mein to milne se jhijakti hai 'falak' khalq ko yaad meri baad-e-fana aaegi
This is a great manane ki funny shayari. True lovers of shayari to ek bahana hai will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore dukhi aatma shayari. Please share if you liked this!!!