sachchi kahani

dadi amman jaldi aao
aa kar ek kahani sunao

aao baitho pas hamare
shahi shaalu pappi dulare

ek bachcha tha nek aur achchha
dil ka saf zaban ka sachcha

man se apni kar ke minnat
safar ki mangi us ne ijazat

man ne raqam sadri mein si kar
kar diya rukhsat aansu pi kar

chalte chalte ki ye nasihat
chahe jitni aae musibat

jhut kabhi lab par mat aae
chahe jaan bhale hi jae

chala safar par jab wo bachcha
man ka saf zaban ka sachcha

raste mein kuchh daku aae
zulm-o-sitam har ek par dhae

aakhir mein bachche se puchha
pas tere jo kuchh ho batla

bachche ne kuchh khauf na khaya
jo kuchh sach tha un ko bataya

chir ke sadri raqam dikha di
man ki nasihat un ko bata di

bachche ki jo dekhi sadaqat
pai us daku ne nasihat

tauba bure kaamon se kar li
aur iman se jholi bhar li

shaikh abdul-qadir jilani
duniya unhen is nam se jaani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close