may ke mahine ka manus manzar gharibon ke sathi ye kankar ye patthar wahan shahr se ek hi mil hat kar sadak ban rahi hai zamin par kudalon ko barsa rahe hain pasine pasine hue ja rahe hain magar is mashaqqat mein bhi ga rahe hain sadak ban rahi hai musibat hai koi masarrat nahin hai unhen sochne ki bhi fursat nahin hai jamadar ko kuchh shikayat nahin hai sadak ban rahi hai jawan naujawan aur khamida kamar bhi fasurda jabin bhi bahisht-e-nazar bhi wahin sham-e-gham bhi jamal-e-sahar bhi sadak bin rahi hai jamadar sae mein baitha hua hai kisi par use kuchh itab aa gaya hai kisi ki taraf dekh kar hans raha hai sadak ban rahi hai ye be-bak ulfat par alhad ishaara basanti se ramu to ramu se radha jamadar bhi hai basanti ka shaida sadak ban rahi hai jo sar pe hai pagdi to hathon mein hunter chala hai jamadar kis shan se ghar basanti bhi jati hai nazren bacha kar sadak ban rahi hai samajhte hain lekin hain masrur ab bhi usi tarah gate hain mazdur ab bhi bahar-haal wan hasb-e-dastur ab bhi sadak ban rahi hai