aisi raaten bhi kai guzri hain jab teri yaad nahin aati hai dard sine mein machalta hai magar lab pe fariyaad nahin aati hai har guna samne aa jata hai jaise tarik chatanon ki qatar na koi hila-e-tesha-kari na madawa-e-farar aisi raaten bhi hain guzri mujh par jab teri rahguzar mein sae har jagah chaar taraf the chhae to na thi teri tarah ke sae sae hi sae the larzan larzan kabhi aae kabhi bhage kabhi bhage kabhi aae sae hi sae the teri rahguzar ke sae aisi raaten bhi hain guzri mujh par jab teri yaad nahin aati hai lab pe fariyaad nahin aati hai