udas shahr ki galiyon mein raqs karte hain balaen lete hain aawara-gard khwabon ki duaen dete hain bichhde huon ko milne ki sanwarte hain kham-e-gaisu-e-tamanna ko pukarte hain kisi ajnabi masiha ko samet leta hai jab chand apni kirnon ko to din ke gahre samundar mein dub jate hain yunhi hamesha tulua o ghurub hote hain