safar aaghaz karte hain kisi anjaan manzil ka safar ke raste mein dur tak sahra hi sahra hai jahan suraj nae din ki masafat se zara pahle wo apni raushni ka malgaja sa rang pahne aasman ke nilgun pardon se ladta hai to sahra ka hasin manzar kisi paras ke tukdon se faza rangin karta hai yakayak wo hasin manzar usi paras ke tukdon ko jala kar lal karta hai kisi pyase ki shiddat aur shiddat ki bhi shiddat hai ki jab dariya ubalne ki kai nakaam koshish mein ubalta hai lab-e-dariya kabhi suraj sawa neze pe aa ke jhul jata hai tabhi phir sham ka manzar andheri raat mein jal kar nazar ke taqche se dhund lata hai wo hire jo abad tak raushni denge jala denge andheron ko safar ko rasta denge