gulabi hawa aur nili udasi ye kin jangalon ka safar hai har ek samt kanton bhari rahguzar hai kahan kho gae hain gajak ke wo thele wo jadon ki raaten diwali ke mele wo topi wo baste wo budhe muhafiz wo kichad ke raste wo barsati nale wo madhosh bachche wo kurton ki jebon mein amrud kachche wo panni ke chashme wo mitti ke bartan wo bosida kadiyon mein chidiyon ke maskan magar ab ye be-mani be-rang manzar ki phulon ke daman mein nokile patthar hayat-e-musalsal ye kaisa safar hai har ek samt kanton bhari rahguzar hai