nazar uthao safir-e-laila bure tamashon ka shahr dekho ye mera qarya ye wahshaton ka amin qarya tumhein dikhaun ye sehan-e-masjid tha yan pe aayat-farosh baithe duaen khilqat ko bechte the yahan adalat thi aur qazi aman dete the rahzanon ko aur is jagah par wo khan-qahen thin aab o aatish ki mandiyan thin jahan pe amrad-parast baithe safa-e-dil ki namazen padh kar khayal-e-duniya se jaan hatate safir-e-laila main kya bataun ki ab to sadiyan guzar chuki hain magar suno ai gharib-e-saya ki tum sharifon ke raaz-dan ho yahi wo din the main bhul jaun to mujh pe lanat yahi wo din the safir-e-laila hamari basti mein chhe taraf se fareb utre daron se aage gharon ke bichon phir us se chulhon ki handiyon mein jawan-o-pir-o-zanan-e-qarya khushi se raqsan tamam raqsan hujum-e-tiflan tha ya tamashe the boznon ke ki koi diwar-o-dar na chhoda wo un pe chadh kar sharif chehron ki gardanon ko phalangte the daraaz-qamat lahim baune raza-e-baham se kolhuon mein jute hue the khraste the wo zard ghalla to us ke pisne se khun bahta tha pattharon se magar na aankhen ki dekh pain na un ki naken ki sunghte wo faqat wo bailon ki chakkiyan thin saron se khali fareb khate the khun pite the aur ninden thin bajjuon ki safir-e-laila ye dastan hai isi khandar ki isi khandar ke tamash-binon fareb-khurdon ki dastan hai magar suno ajnabi shanasa kabhi na kahna ki main ne qarnon ke faslon ko nahin sameta fasil-e-qarya ke sar pe phenki gai kamanden nahin utarin tumhein dikhaun tabah basti ke ek jaanib buland tila buland tile pe baithe baithe hawannaqon-sa kabhi to rota tha apni aankhon pe hath rakh kar kabhi musalsal main unghta tha main unghta tha ki sans le lun magar wo chulhon pe handiyon mein fareb pakte siyah sanpon ki aisi kaya-kalap hui thi ki meri aankhon pe jam gae the so yan pe baitha main aane wale dhuen ki talkhi bata raha tha khabar ke aansu baha raha tha magar main tanha safir-e-laila faqat khayalon ki baadshahi meri wirasat tamam qarye ka ek shair tamam qarye ka ek lain tha yahi sabab hai safir-e-laila main yan se nikla to kaise ghutnon ke bal utha tha nasib-e-hijrat ko dekhta tha safar ki sakhti ko jaanta tha ye sabz qariyon se sadiyon pichhe ki manzilon ka safar tha mujh ko jo gard-e-sahra mein lipte kharon ki tez nokon pe jald karna tha aur wo aisa safar nahin tha jahan pe sae ka rizq hota jahan hawaon ka lams milta farishte aawaz-e-al-aman mein mere liye hi ajal ki rahmat ko mangte the yahi wo lamhe the jab shafaq ke tawil tilon pe chalte chalte main dil ke zakhmon ko sath le kar safar ke parbat se par utra
This is a great heart pain shayari in hindi. True lovers of aamir khan shayari snapdeal will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore ajmer sharif shayari images. Please share if you liked this!!!