sahar ke ufuq se der tak barish-e-sang hoti rahi aur shishe ke sare makan dher ho ke rahe dast-o-bazu kate panw majruh the zehn mein kirchiyan khub gain ab ke chehre pe aankhen nahin zakhm the kis tarah jagte kis liye jagte der tak yunhi sote rahe log kya jaane kya soch kar mutmain ho gae log khamosh the