kis dhun mein rahti ho tum uljhe hue baalon ki girhen tum se nahin sulajhti kya lao inhen main suljha dun un ke uljhe guchchhon se ye baal tumhaare suljhe to resham ho jaen aur baalon ko suljhane ke bahane jiwan ki uljhan suljhaun ghane banon mein shankh bajaun aur titli ban kar ud jaun shakhon ko main raqs dikhaun ek kaghaz ki naw banaun tujh ko dur baha le jaun aur tere dukh ki warsha mein antarman tak bhigti jaun aa ajnabi si ladki main teri bachpan ki si saheli ho jaun