sajae gae elanat

aaj andhera ijad mat kijiye
ki main apna aakhiri charagh bhi

mohabbat ke jurm mein qatl hone
walon ki qabr par jala aaya hun

ek qabr khodiye
mere pas ek nazm hai

jis mein meri maut ka
zikr hai

us nazm ko qabr mein gad dijiye
shajar-kari muhim ke dauran

ek-adh darakht meri
aankhon mein lagaiye

ki main aksar khwab mein
lambe safar par nikalta hun

aur mere raste par
koi darakht nahin hota

meri siw daraaz mein rakh lijiye
ki meri siw par kisi mohabbat ya

kisi khwab ka zikr nahin hai
khizan ko kuchh der aur roke rakhiye

ki main ne kuchh phul ek aise
shakhs ko dene hain

jise kuchh din zinda rahne ki mohlat mili
aaj dusre din ki sham hai

mere pas ek zer-e-tamir muskurahat hai
meri ek taswir khinche

aur gum-shuda afrad ki taswiron
ke sath rakh dijiye

ki dhundne walon ko ye to
malum ho ki kyon main apni muskurahat

mukammal tamir nahin kar saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close