bartaniya ki chhid gai hindostan se jang haalanki is se jang hai sare jahan se jang gita se aur granth se zor-azmaiyan quran ki aayaton ke qushun-e-giran se jang arjun ke aur bhim ke ghar se muqabla phir khandan-e-sarwar-e-kaun-o-makan se jang tauhid ke alam ko jhukane ke hausle jo qudsiyon ke hath mein hai us nishan se jang sarhad ke ghaziyon ko kuchalne ki niyyaten bachche se jang budhe se jang aur jawan se jang sulh o salam o amn-o-aman jis ki hai mataa ghaarat-garon ki than gai us karwan se jang barq aur dukhan pe kyon na ho iman khanda-zan karne chali hai aaj zamin aasman se jang hai zer-dastiyon pe zabardastiyon ki takht moran-e-nim-jaan ki hai pil-e-daman se jang dhawa sipah-e-jabr ka hai khail-e-sabr par top aur tufang ki hai qalam aur zaban se jang hum na-tawan sahi hai khuda to hamare sath ab bhi wo karte hain to karen na-tawan se jang zarre ke sath jang hai jang aaftab se khuffash ki abas hai shah-e-khawaran se jang