anhoni bhi ho jati hai honi yunhi hote hote rah jati hai unche niche ho jate hain dubne wale dariya par utar jate hain aur tera ek samundar ke sahil par dub ke mar jate hain kuchh aise hain jin ki har khwahish hasrat mein dhal jati hai kuchh aise hain jo ek khwahish hasrat hi mein mar jate hain kis ke nasib mein kya hai kaun kidhar jaega kis ki qismat achchhi kaun bari paega sachchi baaten karne wale kyun suli par chadh jate hain jhute shahi kar jate hain subh ke bhule sham ko ghar wapas nahin aate sham ke bhule subh ko wapas aa jate hain jhut aur sach ka khair aur shar ka kuchh mear to rakkha hoga jis ne duniya qaem ki hai us ne kuchh to socha hoga