safed baalon aur hire ki kani jaisi aankhon walon ke dil sone ki dali se tarashe jate hain wo nahin bolte magar chaar atraf chandi jaise ujle lafz muskurane lagte hain wo safed baadalon mein shaffafiyat ka rang bhar dete hain aasman ki nilahat bhar lete hain aankhon mein jazb kar lete hain sat rang zindagi ke tajrbe ki aanch un ke chehre par dhuan nahin bikherti wo apna ujla rup hatheli par liye phirte hain uchhaal dete hain suraj ki taraf dudhiya kirnon ka thaal raat ke andhere mein mahtab chunne nikalta hai un ka rupahla rup unhen dekhte hi jangal ke darakhton se chhanti hui raushni raqs karne lagti hai magar meri aankhen tatolti rahti hain andhera main ne ek safed baalon wale ko ojhal hote dekh liya tha