khulin jo aankhen to sar pe nila falak tana tha chahaar-jaanib siyah pani ki tund maujon ka ghalghala tha hawaen chikhon ko aur karahon ko le ke chalti thin aur mitti ki zard khushbu mein maut-mausam ka zaiqa tha nazar manazir mein dub kar bhi misal-e-shisha tahi thi yani gul-e-tamasha nahin khila tha hiras jazbon ki rahguzar mein dil-e-tajjub-zada akela khamosh tanha bhatak raha tha ki ek sae ki narm aahat ne raston ka nasib badla koi talluq ke chand lahje mein apne-pan ki ada se bola mire musafir udas mat ho ki ahd-e-furqat hi zindagi hai ye faslon ki khalij rah-e-visal hai aur talab nigahon ki raushni hai tamam chizen tumhaare mere badan ke rishton ka silsila hain tumhein khabar hai ki hum samundar aur aasmanon ki intiha hain!