mera dil uchhalta samundar mera jazba-e-be-aman mera ek ek arman uchhalte samundar ki sadiyon purani chattanon se takra ke yun reza reza hua hai ki ghayal samundar ke sine mein mahshar bapa hai har ek mauj dard-ashna hai har ek qatra-e-ab anmol hai gauhar-e-be-baha hai main hasti ke sahil ka mabhut-o-hairan musafir mere zard chehre pe jamti hui ret mera sarakta hua jism sab ki nigahon ka markaz bana hai magar koi aisa nahin koi bhi to nahin jo meri munjamid gahri jhilon se guzre mere dil ke qulzum mein utre jahan ki har ek mauj dard-ashna hai har ek qatra-e-ab anmol hai gauhar-e-be-baha hai jahan ruh tan se juda hai azal ke musafir ki manzil abad hai baqa hai