yahan pe kal tak jo ganw tha us ke sab makin ab udas qasbon ghaliz shahron mein bas chuke hain zamin ke sine se jhadiyon khushk aur be-kar zard paudon ki fasl ugti hai har baras surkh aag ka karwan utarta hai subh-dam dasht ke kinaron pe phail jata hai gard-e-afaq mein shab-sard ki hadon tak yahan magar ek tair-e-par-shikasta shayad muqim hai dastan ye kahti hai baal-o-par ki numud hogi tulua lamha-e-baad-o-baran mein dasht par tabassum ka sail sail-e-rahmat padega ye saat-e-nek jab faraaz-e-jud se khak par utar kar qarib aaegi tair-e-par-shikasta parwaz kar ke kho jaega zamanon ki wusaton mein magar abhi khak-zar mein sail-e-waqt ke darmiyan aankhen fasurda-o-tishna-kaam aankhen taras rahi hain ki barishen ab samundar par baras rahi hain