sangam

prayag pe bichhdi hui bahnen jo mili hain
pani ki zamin par bhi to kaliyan si khili hain

kuchh ganga ka rukna
kuchh jamuna ka jhukna

phir donon ka milna
wo phul se khilna

kis shauq se ithlati hui sath chali hain
ye ishq-o-mohabbat ke nazzare azali hain

kahte hain ki jannat se bhi aai hai bahan ek
go tinon ka hi asl mein ghar ek watan hai

ghar jab se chhuta tha
dil sard hua tha

wo koh se girna
wo dasht mein phirna

raaton ko wo sunsan bayaban mein chalna
sahme hue taron ka wo sine mein machalna

tha wo safar dasht mein maidan mein ban mein
khamosh pahadon mein gulistan mein chaman mein

jangal se nikalna
rukte hue chalna

kuchh badh ke palatna
dar dar ke simatna

mar mar ke akele ye guzara hai zamana
jaise koi duniya mein na ho apna yagana

khali kabhi jati nahin be-lafz sadaen
aakhir ko asar kar gain khamosh duaen

jaga hai muqaddar
prayag pe aa kar

ab gham na sahenge
tanha na rahenge

prayag pe bahnon ko milaya hai khuda ne
muddat mein ye din aaj dikhaya hai khuda ne

kya josh-e-mohabbat se baghal-gir hui hain
waraftagi-e-shauq ki taswir hui hain

allah re mohabbat
sarmaya-e-rahat

ye kis ko khabar thi
dil milte hain yun bhi

hongi na juda hashr tak ab aise mili hain
khush bahnen hain ya pani pe kaliyan si khili hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close