azm-e-shahini liye ek naujawan sanjiw hai ab meri urdu ka sachcha pasban sanjiw hai rekhta ke ho tumhin ustad ghaalib aaj bhi han magar is bagh ka ab baghban sanjiw hai jis mein lakhon hain sitare shairi-o-nasr ke is nai ek kahkashan ka aasman sanjiw hai khub-ru hai khub-sirat narm-guftari bhi hai ba-adab tahzib ka sail-e-rawan sanjiw hai wo akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar ab to kitne qafilon ka karwan sanjiw hai jis ke dil mein zehn mein sanson mein hai sara adab rekhta jaisi hasina ki zaban sanjiw hai kal wafa urdu se us ki surkh-ru ho jaegi dastanon mein chhupi ek dastan sanjiw hai jis mein shirkat ke liye be-tab hai sara jahan jashn-e-urdu ka bhi mir-e-karwan sanjiw hai bhar raha hai rekhta gagar mein wo sara adab yun lage 'azhar' mujhe sara jahan sanjiw hai