dilkashi go ufuq-ta-ufuq hai magar dilkashi kuchh nahin sarkhushi bhi tabaq-dar-tabaq hai magar sarkhushi kuchh nahin ragni kuchh nahin chandni kuchh nahin aanchalon mein koi sarsarahat nahin payalon ki kahin chhan-chhanahat nahin panghaton par bhi kuchh gungunahat nahin rasmasahat nahin jagmagahat nahin muskurahat nahin chup hain pagdandiyan sar-nigun baaliyan sog mein gharq hain sar-ba-sar khetiyan bewgi ka saman qahqahon par hai aah-o-fughan ka guman zindagi ek bar-e-garan sare sinon mein hai ek khalish ek jalan girya-e-gham ka har-su chalan dil ki dhadkan hai siskariyon ki tarah desh hai mubtala rog mein aadmi gharq hai sog mein dharti aazar ho kar bhi taraj hai zindagi ki kahin koi aahat nahin dur tak maut hi maut ka raj hai aadmi ek tabassum ko muhtaj hai