sanp! aa kat mujhe edi par main tujhe dana-e-gandum ki qasam deta hun shahr ke unche makanon pe chamakta suraj mujh se kahta hai ki tu nanga hai aur meri ruh mujhe kahti hai jism ko dhank meri shahr mein tazlil na kar mujh ko ehsas hai main nanga hun subh ke nur ke manind mujhe koi malbus azal se na mila sabz patton ne sahaara na diya sanp! aa kat mujhe bakhsh de maut ka malbus mujhe dekh ab jism mera din ki garmi se jhulasta hai kabhi aur phir raat ki sardi se thethurta hai kabhi aur meri ruh mujhe kahti hai jism ko dhank meri shahr mein tazlil na kar sanp! aa kat mujhe edi par aur mere jism ko ghulta hua tanba kar de subh ka nur jise dekh ke sharma jae aur meri ruh kahe ab tujhe maut nahin aaegi main tujhe dana-e-gandum ki qasam deta hun