sanp lapete ghum raha hun duniya mujh se khauf-zada hai sab mujh ko achchhe lagte hain lekin yun hai jis ladki ko chaha main ne jis ladke ko dost banaya jis ghar mein man bap banae jis masjid mein ghutne teke sab ne mera sanp hi dekha mujh ko koi dekh na paya main sab ko kaise samjhaun ye duniya ka sanp nahin hai mere sath pala posa hai ye mera man jaya bas mujh ko dasta hai