tang kamre mein kuchh sanp hain aur main farsh par lal aankhen dikhate hue surkh angaron se khud ko mahfuz rakhne mein masruf hun aur kamre ki chhat raushni ki lakiren samete khadi hai gharaz panw ko surkh angaron se sar ko chubhti hui raushni ki lakiron se mahfuz rakhne mein main munhamik hun kale pile hare sanp bhi mujh ko dasne chale aa rahe hain magar mein unhen mar dalunga ek din ye mujh ko yaqin hai phir achanak main ye sochta hun mere kamre mein rauzan nahin hai koi jis se baad-e-saba chupke dar aa ke shoalon ko dahka sake bulb khamosh hai phir bhala sanp kyun aaenge jism se waswason ki ye bosida chadar hata kar saf-suthre se bistar pe main so raha hun kyun ki pichhle janam se main nirdosh hun mera tang kamra mujhe der se tak raha hai