raat ek khwab ne aankhen mere andar kholin aur bistar ki shikan khinch ke sidhi kar di phir sirhane se ikatthe kiye guzre lamhe ek taswir bana kar sar-e-mizhgan rakh di aankh kholungi to ye bojh girega aise aankh ka gumbad-e-simab pighal jaega mere sab khwabon khayalon ko nigal jaega aur agar aankh na kholi to ye girya karte sar patakte hue lamhe kisi dimak ki tarah aankh ke band ghilafon se chipak jaenge is imarat ka har ek naqsh mita dalenge ab jo karte hain ye bistar ka tawaf aahista mere hone ke bahane se zara pahle hi is dariche mein ubhar aae sahar ki aahat satwen phere ke aane se zara pahle hi