guzar raha tha lakhnau ki ek shahrah se nazar ulajh ke rah gai nigah-e-mehr-o-mah se gulab ke libas mein pari utar ke aa gai hayat ban ke aai thi hayat ban ke chha gai faza mein irtiash tha dilon ke is gudaz se ki jaise pi raha tha main nigah-e-nim-baz se un ahmarin labon pe ek raqs-e-na-tamam tha sukut sa sukut tha kalam sa kalam tha main us ki is ada se khud hijab kha ke rah gaya wo muskura ke rah gai main sar jhuka ke rah gaya badhi wo sae ki tarah rawan-dawan rawan-dawan main us ke pichhe ho liya misal-e-gard-e-karwan main chahta tha haal-e-dil suna ke us ko chum lun pakad ke donon hathon ko faza mein jhum jhum lun zaban-e-dil se phir kahun tumhin meri bahaar ho sukun-e-qalb-e-zar ho surur-e-sad-khumar ho dilon ki dhadkanon mein ek ajib iztirab tha qadam bahak rahe the aur samne shabab tha main us se ye na kah saka ki tum meri hayat ho tilism hi faqat nahin tamam kaenat ho hasin-o-mah-jabin wo ek gul ke pas ruk gai nazar mila ke hans padi gulon ki shakh jhuk gai ba-sad-ada chali gai hasin mahal mein wo pari main dil pakad ke rah gaya ba-in khayal-e-dilbari