sard-o-garm By Nazm << shoale meayar-e-sukun >> barf jaisi raaton mein barha main jhulsa hun tez dhup mein aksar jam gaya hun thithura hun waqt ki ye bulajabi raaz hai to rahne do yunhi mujh ko be-samjhe sard-o-garm sahne do Share on: