shaera bhi thi khatiba bhi siyasat-dan bhi thi naujawanan-e-watan ki tu chaheti man bhi thi tu rahi saz-e-mohabbat par hamesha naghma-khwan hai amar tu aaj bhi ai bulbul-e-hindustan madar-e-hindostan ka tujh se qaem hai waqar tabqa-e-niswan ko teri zat wajh-e-iftikhar hind ki tahrik-e-azadi mein tera nam hai qabil-e-taqlid tera wo misali kaam hai jazba-e-insaniyat se dil tera mamur tha tere chehre se ayan ruhaniyat ka nur tha tere naghmon ki latafat wo tere dil ka gudaz kaisi pur-tasir thi teri nawa-e-dil-nawaz har taraf jadu jagati thin wo taqriren teri sachche moti rolti rahti thin tahriren teri