main ki ek jannat-e-arzi se chala aaya hun biti yaadon ki mahak dil mein chhupa laya hun jis jagah kausar-o-tasnim ki nahren thin rawan jis jagah apni tamannaon ki duniya thi jawan nur-e-aiman tha surayya ki nigahon mein jahan shakh-e-nasrin thi farhin ki banhon mein jahan jis jagah farhat-o-nuzhat ki hawa chalti thi ban ke tazin-e-dar-o-baam saba chalti thi lab-e-khamosh se phuta tha tarannum jis ja mere honton ne bhi sikha tha tabassum jis ja nilgun aankhon se tapke hue taron ki kiran chand bite hue lamhat ki yaadon ki jalan main usi gum-shuda jannat se chura laya hun main ki ek jannat-e-arzi se chala aaya hun