ai sati ai jalwa-gah-e-shola-e-tanwir-e-husn pak-damani ka naqsha hai teri taswir-e-husn ye tan-e-nazuk tera ye shola-ha-e-atshin ye chita ki aatish-e-sozan ye jism-e-naznin saiqa hai barq ka tere dil-e-muztar ki aag phunk deti hai tujhe soz-e-gham-e-shauhar ki aag khak ho kar bhi tere dagh-e-jigar bujhte nahin aah teri rakh ke barson sharar bujhte nahin hind ko hai naz teri himmat-e-mardana par tu charagh-e-kushta hai khakistar-e-parwana par aag mein hai tu sapind-e-shauq jalne ke liye sham-e-matam hai shab-e-gham mein pighalne ke liye garmi-e-hangama-e-mahshar teri mahfil mein hai sard jo hoti nahin wo aag tere dil mein hai kab gawara aah hai soz-e-gham-e-shauhar tujhe hai har ek tar-e-nafas ek shola-e-muztar tujhe uf ri shauhar ki chita par shola-afrozi teri jite-ji soz-e-mohabbat mein jigar-sozi teri jaan-gudazi ki ada ye sham-e-mahfil mein kahan garmi-e-soz-e-wafa ye sham-e-mahfil mein kahan wo chita ki aatish-e-jaan-soz wo dud-e-siyah shauhar-e-murda ka sar wo zanu-e-nazuk pe aah aag ke wo hae shole aur wo mukhda chand sa lab pe kam kam shokhi-e-barq-e-tabassum ki ada halka phulka jism-e-nazuk par dupatta surkh surkh wasl-e-ruhani ki shadi se wo chehra surkh surkh aalam-e-dud-e-siyah wo zulf-e-ambar-fam mein daudne wale wo shole halqa-ha-e-dam mein aatish-e-sozan mein bhi wo aah shauhar ka khayal aur wo dil mein garmi-e-hangama-e-shauq-e-visal jal ke soz-e-iztirab-e-shauq mein parwana-war khuld mein shauhar se hona uf wo khush khush ham-kanar dal dena wo gale mein hans ke banhen pyar se dil lubha lena ada-e-shewa-e-guftar se halki halki chandni kaifiyat-e-gul-gasht-e-bagh wo lab-e-ju aah husn o ishq ke do shab charagh tujh pe ai naz-afrin shauhar-parasti khatm hai ek sharar-e-arzu mein teri hasti khatm hai