kitabon ka zina bana kar machani se main ne mithai churai to ghar mein kisi ko bhi ghussa na aaya ye kam-sin zehanat ki tasir thi ya shararat ki shirin shakar-qandiyon jaisi umron ki lazzat abhi tak wo khush-zaeqa waqia jab rag-e-jaan mein ghulta hai bachpan ke baghat ki titliyan phul ban kar barasti hain pathrili umron ke din raat ki zard kali musibat ka gham bhul kar muskurahat ki mithi phuwaren bayaban ko jal-thal banati hain gati hain ek do tin allah miyan ki zamin chaar panch chhe sat sare mil kar khaen bhat aath nau das pani mitha ras pani ki lahron pe hachkole khati hui kaghazi-umr ki naw karwat badal kar ulat deti hai khwab sare kitabon pe girte hue aansuon se siyahi ke dariya hi bante hain dariya samundar banate hain sare samundar siyahi qalam ban gain sari shakhen qasam ungliyon ki mohabbat bhara khat mere aur tere darmiyan tir hai main likkhun aur likhta rahun ta-qayamat mohabbat ki nazmen magar jaaniyan in kitabon ko zina bana kar kai bar main ne tere aasmanon pe ja kar tujhe dhund lane ki nakaam koshish mein aansu bahae siyahi ke dariya banae kahan hai tu khud apni shirin sada se meri tira-bakhti mein shubhraat ki misriyan ghol de man to naraaz hai ab kai roz se bolti bhi nahin