gul-danon mein saje hue phulon ko main ne raat apni aaghosh mein le kar itna bhincha sare rang aur sari khushbu ang ang mein basi hui hai sari duniya nai hui hai par mujh ko in sab rangon aur khushbuon se dar lagta hai jin ka muqaddar tanhai ho ya phir aisi ruswai ho jis ki aag mein baras baras ke saje hue manzar jal jaen ghar jal jaen