din bhar ke masruf qadam jab laut ke ghar ko aate hain to apne sath thake shanon par shal hathon ka bar uthae bojhal aankhon ki maddham binai le kar aao aazar sunne ki ek halki si ummid liye ghar ki dahliz pe ruk jate hain aur purana darwaza jab khulta hai to sab manus dariche banhen phaila kar in qadmon ki aahat par aane wale is paikar ko sham ki khamoshi mein ishaare karte hain kamre ki kursi ke sukun-parwar hain daste bistar ki ujli chadar hai dost-nawaz takiye ki narmi mein hamdardi ki garmi kut kut kar bhari hui hai chaaron or mere kamre mein khushbu si hai jaise tumhaara ek saya sa mere sath raha karta hai