ai ki tera murgh-e-jaan tar-e-nafas mein hai asir ai ki teri ruh ka tair qafas mein hai asir is chaman ke naghma-pairaon ki aazadi to dekh shahr jo ujda hua tha us ki aabaadi to dekh fikr rahti thi mujhe jis ki wo mahfil hai yahi sabr-o-istiqlal ki kheti ka hasil hai yahi sang-e-turbat hai mera girwida-e-taqrir dekh chashm-e-baatin se zara is lauh ki tahrir dekh muddaa tera agar duniya mein hai talim-e-din tark-e-duniya qaum ko apni na sikhlana kahin wa na karna firqa-bandi ke liye apni zaban chhup ke hai baitha hua hangama-e-mahshar yahan wasl ke asbab paida hon teri tahrir se dekh koi dil na dukh jae teri taqrir se mahfil-e-nau mein purani dastanon ko na chhed rang par jo ab na aaen un fasanon ko na chhed tu agar koi mudabbir hai to sun meri sada hai dileri dast-e-arbab-e-siyasat ka asa arz-e-matlab se jhijak jaana nahin zeba tujhe nek hai niyyat agar teri to kya parwa tujhe banda-e-momin ka dil bim-o-riya se pak hai quwwat-e-farman-rawa ke samne bebak hai ho agar hathon mein tere kham-e-mojiz raqam shisha-e-dil ho agar tera misal-e-jam-e-jam pak rakh apni zaban tilmiz-e-rahmani hai tu ho na jae dekhna teri sada be-abru sone walon ko jaga de sher ke eajaz se khirman-e-baatil jala de shoala-e-awaz se