bhul jaana unhen aasan hai ai dil tu ne pahle bhi kai bar qasam khai hai dard jab had se badha zabt ka yara na raha un ki ek ek ada yaad mujhe aai hai wo tabassum mein nihan tanz ke mithe nashtar wo takallum mein taghaful ko chhupane ki ada ruk ke har lamha nai tarah se aaghaz-e-sitam jaise kuchh kho ke kisi chiz ko pane ki ada meri khamoshi pe bebak-nigahi un ki jazba-e-shauq ko kuchh aur badhane ki ada wo musalsal meri baaton pe tawajjoh ki nazar rukh pe machli hui zulfon ko hatane ki ada mere ashaar ko sunte hi wo aankhon mein ghurur mujh ko har tarah se diwana banane ki ada be-khudi dekh ke meri wahi begana-rawi pas aa aa ke bahut dur wo jaane ki ada rukhsati lamhon mein honton pe duaon ka guman dar pe ruk kar meri khatir se wo jaane ki ada aaj rah rah ke tadapta hun nai baat hai kya dil ne kyun tark-e-mohabbat ki qasam khai hai wo sitam lakh karen un ka to shewa hai yahi ishq ki tark-e-mohabbat mein bhi ruswai hai ab to jalte hue jina hi padega ai dil tu ne khud apne kiye ki ye saza pai hai