jagte sote lamhon ki darzon se hoti hui mausamon ke badalne ki dhimi khanak ba-dastur kanon mein aati rahi aur wo be-khabar apni hi zat ke nichle goshe mein baitha hua aasman par sitaron ki har chaal ko apni taqdir ka faisla man kar aundhe munh be-yaqini ke pairon pe rota raha aur ‘aqidon ke honton ki beja hansi qahqaha ban gai