barahwin martaba maut ka khwab takmil tak aate aate kahin rah gaya hai mujhe koi zakhmon ke tanke lagana sikha de to main apna chamda use dan kar dunga phir chahe wo us ke jute banae ya apni balaon ka sadqa utare agar dewtaon mein jhagda hua aur tum is zamin par kisi an-sune qahqahe ke shikam se baramad hue to main apni poron pe ugti hui raat se tum mein itni udasi bharunga ki tum chikhte chikhte ek dam hast hone lagoge lipat jaoge mujh mein paiwast hone lagoge magar main abhi terahwan khwab aankhon mein paiwast karne laga hun