shaeron ka jabr

chae ki bhap mein
ghulte, madum hote hue qahqahe sham ka bankpan

koi misra dhuen ke bagulon mein compos hota hua
koi nukta jo asrar ke ghup andhere se shoala-sifat sar uthae

ajab dhima dhima nasha ikhtilafat ka
apne nichle suron mein koi fikr marbut karta hua zawiya

tanz ke nawak-e-khush-saliqa ki san-san
hawaon se mahfuz sanson mein aarasta mukhtalif sigreton ki mahak

sham ke surmai bankpan mein kisi coat, muflar, sweater se uthti hui
khushbu-e-ashna

jodti hai hamein ek samay se jo muddat se
ek na-mulaem zamane mein mahkum hai

kaun lahze ko wapas bulae
samay ko mukammal kare

apni nazmen usi ek tasalsul-zada daere mein hain
purkar jin ki rihai pe mail nahin

resturanon ke konon mein sahmi hui
kitni shamon ka jadu yahan satr-dar-satr mahbus hai

hum jo qaid-e-zaman-o-makan se nikalne ko par marte hain
bhala sham dhalne pe alfaz ke panchhiyon ko jakadte hain kyun

dam-e-taswir mein
ye bagule, dhuan, bhap asiri ke aadi nahin

sham khud raat ki god mein ja ke girne ko be-tab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close