mushtahar maut ki aarzu ne use muztarib kar diya is qadar ek din wo salibon ke aadad par roz-o-shab ghaur karne laga imtihan ke liye dasht ko chal diya apne hisse ki jab muntakhab kar chuka us ne tarikh ke zard aur ek par nam apna khushi se raqam kar diya ek par us ka sar dusri par jigar teri par latakta hua us ka jazbon se mamur dil us ki aanten yahan us ki phanken yahan us ki apni salib aaj koi nahin zard auraq se mit gae sab nishan dasht mein dur tak chikhti aandhiyan khatm us ki hui mushtahar dastan