rukhsat ai ham-safaro shahr-e-nigar aa hi gaya khuld bhi jis pe ho qurban wo dayar aa hi gaya ye junun-zar mera mere ghazalon ka jahan mera najd aa hi gaya mera tatar aa hi gaya aaj phir ta-ba-chaman dar-e-pai-e-gul-ha-e-chaman gungunata hua zambur-e-bahaar aa hi gaya gesuon walon mein abru ke kaman-daron mein ek said aa hi gaya ek shikar aa hi gaya baghbanon ko batao gul-o-nasrin se kaho ek kharab-e-gul-o-nasrin-e-bahaar aa hi gaya khair-maqdam ko mere koi ba-hangam-e-sahar apni aankhon mein liye shab ka khumar aa hi gaya zulf ka abr-e-siyah bazu-e-simin pe liye phir koi naghma-zan-e-saz-e-bahaar aa hi gaya ho gai tishna-labi aaj rahin-e-kausar mere lab par lab-e-lalin-e-nigar aa hi gaya