magar shahr-e-viran tumhaare gharon maqbaron ki munderon chhaton par jo budhe parindon ki sargoshiyan hain bhatakti hain din raat mere sirhane koi ajnabi ghair-manus aawaz kahti hai khuda jab zaminon pe utra tha budhe parindon ko maut aa gai thi jabhi shahr-e-viran ki behad purani fasilon mein gungi daraden padi thin daraden jo khinchen nason se hararat aur aise mein shahr-e-hazin ke sabhi basiyon ne panah mang li thi daradon ke shar se purane shahr se nae mausamon ki hararat nason mein palat aai kirnon ne suraj ko paida kiya aur suraj ne rangon ko taqsim kar ke jo naqshe jane un se chehre bane chehron ne gungi daradon ko aawaz di aur sajae bade hi jatan se gali aur mahalle khurach kar nishan sare mazi ke tere badan se namak-pash chehron ne tiswe bahae masajid madaris mein tarikh-namon ke pahre bithae magar shahr-e-viran main wo shor bakht hun jo budhe parindon ki sargoshiyon mein tumhaare batn ki khamushi sun rahi hun ranga-rang pardon ke pichhe ki viraniyan chun rahi hun