rang bharti hai fazaon mein teri fikr-e-rasa husn ka paikar nazar aati hai har mauj-e-saba dekh kar pur-haul sannate mein ujdi bastiyan gham se rah jata hun danton mein daba kar ungliyan teri zulfen badliyan aankhen sitaron ki tarah chaal mein hain mastiyan rangat shararon ki tarah rukne lagte hain ujalon ke usi dam jaise panw jis taraf pagdandiyon par padti hai gagar ki chhanw muztarib hota hai is manzar se dil insan ka dhadkanon par dil ki hota hai guman tufan ka ai musawwir tujh ko shair ne isi par mat di khinch bhi sakta hai tu taswir ehsasat ki kash de sakta tujhe husn-e-basirat tera fan har muraqqa tera ban jata khud apni anjuman kaun hai qail teri is shokhi-e-tahrir ka tu musawwir hi nahin jazbaat ki taswir ka